Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

kamyaa - Topics
Create Your Own App Store

* kamyaa > Topics


Subject: Fresh N new
Replies: 0 Views: 826

raju4all 25.07.11 - 01:31pm
Ik taza hikayat hai ..........!!!
Sun lo to inayat hai
Ik shakhs ko daikha tha taron ki tarha hum ne
Ik shakhs ko chaha tha apnon ki tarah hum ne
Ik shakhs ko samjha tha palkon ki tarah hum ne
......Wo shakhs qayamat tha kya us ki karain batain
Din usky liye paida aur uski hi thin ratain
Kum milna kisis sy tha hum sy thin mulaqatain
Rang uska shababi tha zulfon main thin mehkarain
Ankhain thin k jadu tha palkain thin k talwarain
Dushman b ager daikhain so jaan sy dil harain
Kuch tum sy wo milta tha baton main shubahat main
Haan tumsa hi lagta tha shokhi main shararat main
Lagta b tumhi sa tha dastoor-e-mohabat main
Wo shahs hamain ik din apnon ki tarah bhoola
Taron ki tarah dhooba
phoolon ki tarah toota
Phir hath na aya wo
hum ne to bohat dhonda
Tum kis liye chonky ho
kab ziker tumhara hai
Kab tum sy taqaza hai
Kab tum sy shikayat hai
Ik taza hakayat hai....!!
Sun lo to inayat hai...!! *


* Reply
* kamyaa Forum


Search:
topics replies


* kamyaa

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store